Jo kal ik kali thi, aaj phool ban gayi
Har bhavre ke nazar mein voh toh, aa gayi
Jab tak voh kali thi, baag mein surakshit thi
Koi na janta tha, kise na khabar thi
Ab har ik mooh ki baat ban gayi
Kali khil gayi kali khil gayi
Maali pareshan hoova dekha jab bhavre ko
Dhul na lag jaye, uske pyare phool ko
Yeh dekh kali bhi sharma gayi
Kali khil gayi kali khil gayi
Aakhir armaan machal gaye, Bhavre ne kali ko nichor diya
Ras aur madh lekar, kali ko aakhir tod diya
Chilati, roti kali zameen pe gir gayi
Kali kil gayi kali khil gayi
Maali dene laga duhaiee, Kahene laga rab se Ai rab
Kali ko phool bana par aisi kismat na bana kab
Bavre ki nazar mein na lana kabhi
Kali mar gayi kali mar gayi