Tuesday, November 16, 2021

Yeh Kaisi Umar Hai

Ashikana Nazar Hai
Anjani Dagar Hai
Yeh bali umar hai
Yeh Kaisi Umar Hai ?

Sahmi saasein hai
Nazuk Dil hai
Armaan machalte hai
Sambhalna mushkil hai
yeh kaisi umar hai ?

Je haan yeh tufan hai
Andhi hai aag hai
Sab bahak jaate hai
Jo baccha uske bhaag hai
Yeh kaisi umar hai ?

Naam diya Jawani Ise
Koi kehta deewani ise
Kab kahan kya ho jaye
Pata nahin yeh kise
Yeh kaise umar hai ?


No comments:

Post a Comment